Hadees Sharif


*??صلی اللہ تعالی علیہ وسلم??*
________________________________
?? *HADEES SHAREEF* ??
      
? *_HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam Masjid me tashreef farma the ke Aap ne Hazrath Ali (raziallahu taala anhu) se farmaya Ye Jibreel Ameen hain aur arz kar rahe hain ke ALLAH TAALA ne Hazrath SYeda Fatima (raziallahu taala anha) se tumhara nikah kardiya hai aur tumhare nikah par 40 hazaar farishtou ko gawah ke tour par nikah ki majlis me sharik kiya gaya,_*
*_aur shajar haye tubi se farmaya In par moti aur Yaqoot nichawar karo phir dilkash aankhou wali horen un motiyou aur yaqutou se thaal bharne lagi, Jinhe (yane nikah ki taqreeb me shirkat karne wale) Farishte Qayamat tak ek dusre ko batour e Tohfe ke denge._*
*(Zakhair ul Uqba fi manaqibi zawil qurba,vol:1,pg:72)*
? *_Ummul mominen Hazrath Ayesha Siddiqa raziallahu taala anha farmati hain Hum HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ki azwaje mutaharraat AAP Sallallahu alaihi wasallam ki bargah me Jama thi aur koi ek bhi hum me se gair hazir na thi,_*
*_Itne me KHATOON E JANNAT HAZRATH SYEDA FATIMA Raziallahu taala anha tashreef laayen,_*
*_ALLAH ki Qasam! Aapka chalna NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ke chalne ne zarra bhar bhi muqtalif na tha._*
*(Sahih BUkhari,Hadith no:5928)*
? *_Hazrath Syeduna Umar e Farooq raziallahu taala anhu bayan karte hain ke Aap HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ki Shehzadi KHATOON E JANNAT HAZRATH SYEDA FATIMA Raziallahu taala anha ke yaha gaye aur arz kiya AYE FATIMA! ALLAH KI QASAM! Main ne aapke siwa kisi aur ko HUZOOR Sallallahu alaihi wasllam ke nazdeek Mahboob tar nahi dekha Aur ALLAH ki Qasam! Logou me se mujhe bhi HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ke baad koi aap se zyada mahboob nahi._*
*(Mustadrak,hadith no:4736)*
? *_HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya Ek farishta Aasmaan se Nazil hua , wo isse pehle zameen par kabhi nahi aaya tha , wo ALLAH TAALA se Ijazat hasil karke hazir hua taa ke meri khidmat me Salaam pesh kare , aur ye Khushkhabri de ke ” FATIMA ” AHLE JANNAT ke Tamaam Aourtou ki SARDAAR hain Aur HASAN Aur HUSAIN Tamaam JANNATI JAWANOU ke SARDAAR hain_*
*(Jame Tirmizi ,hadith no:3871)*
? *_Ummul momineen hazrath AYESHA SIDDIQA raziallahu taala anha farmati hain Jab Hazrath Syeda FATIMA raziallahu taala anha HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ki khidmat me hazir hoti to HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam SYEDA FATIMA raziallahu taala anha ki khush amadeed kehte ,khade hokar unka isteqbaal karte , unka haath pakad kar bosa dete aur unhe apni nishist par bithalete…_*
*(Sunan e nasai ,hadith no:264)*
              *?SABAK?*
? *_Agar Insaan ALLAH par bharosa na kare aur ibadat farishtou ki jitni kare to wo ALLAH ke yaha Qubool na hogi._*
*(Hazrath Syeduna Owais e Qarani raziallahu taala anhu)*
? *_3 chezen mohabbat badhane ka zarya hai._*
*_Salaam karna Dusrou ko majlis me jagah dena muqatab ko behtar naam se pukarna._*
*(Hazrath Umar e Farooq raziallahu taala anhu)*
? *_3 Aise Khushnaseeb hain jo Qayamat ke din Arsh ke saye ke niche honge, jis din siwaye Arsh ke saye ke koi saya na hoga._*
*_1) JIsne kisi mere Ummati ki takleef ko dur kiya,_*
*_2) Jisne meri sunnat ko zinda kiya,_*
*_3) AUR JISNE MUJH PAR KASRAT SE DUROOD BHEJHA._*
*(Al Qawl ul Badee,pg:232)*
*_?Neik logou ki suhbat ikhtiyaar karo kyun ke suhbat me bada asar hota hai._*
➖➖⭐⭐➖?➖⭐⭐➖➖
      

Leave a comment

error: Content is protected !!