Maula Ali ki wilayat me kya farq hai..?

 
FB_IMG_1498070235227
 
Hazrat Khwaja Moinuddeen Chishty Hasan Sanjari رحمةالله علیہ se kisi ne puchha ke aap bhi Allah ke wali hain aur Maula Ali Alaihissalam bhi Allah ke wali hain aapki aur Maula Ali ki wilayat me kya farq hai..?
Hazrat Khwaja Moinuddin Chishty ne sawal karne wale se puchha tum kya karte ho…!
Woh bola “mai zameendar hun kaafi raqbe ka maalik bhi hun usi sawal karne wale ke sath dusra aadmi bhi tha us se puchha tum kya karte ho…!
Us ne kaha usi zameendar ki zameen par mazarah (Kisaan) hun hal chalata hun.
Khawaja Moinuddin chisti ne kaha jo farq zameendar aur mazarah (Kisaan) ke mansab me hai wohi farq mere aur Maula Ali Ki wilayat me hai Maula Ali wilayat e zameen ke maalik hain aur hum un ke mazarah (Kisaan) hamara kaam zameen e wilayat me hal chalana hai wilayat ki fasal ke maalik Maula Ali hai
jisko chahe khairat ata kar de isi liye sab Aoliya kahte hain ke hamein wilayat Maula Ali ki bargaah se mili aur isi liye Maula Ali ko Saiyed ul Aoliya kaha jata hai….Tamma Waliyo ke Sardar Maula Ali A.S Ibne Abu Talib A.S
( تذ كره محبوب صفہ..221 )

0 thoughts on “Maula Ali ki wilayat me kya farq hai..?”

  1. I believe someone did black magic on me. I did not have period in last two months and I am having mood swing and problems with study and husband. I need help.

    Reply
    • Thank you for your message sister.
      I have forwarded you message on to Peer sahib whom should contact you via your given email.
      If you do not hear within 24 Hours I suggest you contact them directly as below:
      Khwaja Zafar Chishty
      Khwaja Peer Zafar Chishty Niazi
      Ahmedabad House
      Pannigran Chowk
      Ajmer
      Rajisthan,305001
      INDIA
      0091 982 8111 592
      (Whats App Available)
      Email: khwajazafarchishty@gmail.com

      Reply

Leave a comment

error: Content is protected !!